wo khanuman-kharab na kyun dar-ba-dar phire jis se teri nigah mile ya nazar phire rah-e-junun mein yun to hain lakhon hi sar-phire ya-rab meri tarah na koi umr bhar phire raftar-e-yar ka agar andaz bhul jae gulshan mein khak udati nasim-e-sahar phire saqi ko bhi sikhate hain aadab-e-mai-kashi milte hain mai-kade mein kuchh aise bhi sar-phire tark-e-watan ke baad hi qadr-e-watan hui barson meri nigah mein diwar-o-dar phire rah jae chand roz jo bimar-e-gham ke pas khud apna dil dabae hue chaara-gar phire main apna raqs-e-jam tujhe bhi dikhaunga ai gardish-e-zamana mere din agar phire meri nigah mein to ghazal hai usi ka nam jis ki ragon mein daudta khun-e-jigar phire qaid-e-gham-e-hayat bhi kya chiz hai 'fana' rah-e-farar mil na saki umr-bhar phire