wo khun baha ki shahr ka sadqa utar gaya ab mutmain hain log ki dariya utar gaya phir jama kar raha hun par-e-kah-e-sarguzisht hairan hun ki zehn se kya kya utar gaya aaseb raste mein shajar roz-o-shab ke the jangal ke par main tan-e-tanha utar gaya gharqab hauke sikhi hai gauhar-shanawari patthar na tha ki pani mein gahra utar gaya mujh ko to be-maza laga pani ka zaiqa wo kaun tha jo dasht mein pyasa utar gaya han haar man li teri yaadon ke ru-ba-ru is bar kufr-e-sang mein tesha utar gaya le aain kis faraaz pe lafzon ki sidhiyan kaghaz pe hu-ba-hu wo sarapa utar gaya aahat ilaj hai dil-e-wahshat-pasand ka rakha namak zaban pe ki nashsha utar gaya 'shahid' talash-e-rizq hai tair ki justuju pani mujhe jahan nazar aaya utar gaya