kamal-e-ilm o tahqiq-e-mukammal ka ye hasil hai tera idrak mushkil tha tera idrak mushkil hai ye virani tasawwur ki wo rangini khayalon ki kabhi mahfil mein khalwat hai kabhi khalwat mein mahfil hai wo aaina ho ya ho phul tara ho ki paimana kahin jo kuchh bhi tuta main yahi samjha mera dil hai ujala ho to dhundun dil bhi parwanon ki lashon mein meri barbaadiyon ko intizar-e-subh-e-mahfil hai wo dil le kar hamein be-dil na samjhen un se kah dena jo hain mare hue nazron ke un ki har nazar dil hai wo ai 'simab' kyun sargashta-e-tasnim-o-jannat ho mayassar jis ko sair-e-taj hai jamuna ka sahil hai