wo KHun-e-insan se hath jin ke sane hue hain

wo khun-e-insan se hath jin ke sane hue hain
payambar amn-o-ashati ke bane hue hain

karunga tufan ke baad un ki mizaj-pursi
ghamand se chur ped jitne tane hue hain

wo log ab chand ko basane ki fikr mein hain
jo is zamin ke aman ke dushman bane hue hain

the aasman par tabahiyon ke jo halke baadal
wo ahd-e-nau mein na jaane kaise ghane hue hain

kisi bhi ek masale ka hal aaj tak na nikla
jo zindagi ke the masale sab bane hue hain

khuda ne jannat ki sari aasaishen to di thin
ye sare dukh zindagi ke tere jane hue hain

unhen manane mein waqt zaea karo na 'sabir'
ana ke bande jo be-sabab hi tane hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close