wo KHwab ya KHayal hai main jaan lun to kuchh kahun

wo khwab ya khayal hai main jaan lun to kuchh kahun
jo ranj-e-mah-o-sal hai main jaan lun to kuchh kahun

abhi mujhe khabar nahin main kis liye udas hun
jo huzn hai malal hai main jaan lun to kuchh kahun

ghubar-e-arzu chhate to phir koi khabar mile
ye hijr hai visal hai main jaan lun to kuchh kahun

faqih-e-shahr ek jam pi ke dekh lun zara
haram ya halal hai main jaan lun to kuchh kahun

kai dinon se ek sher bhi nahin kaha gaya
uruj ya zawal hai main jaan lun to kuchh kahun

go zakhm sil gae magar kasak to aur badh gai
ye kaisa indimal hai main jaan lun to kuchh kahun

kali chatakne dijiye abhi na mujh se puchhiye
ye zard hai ki lal hai main jaan lun to kuchh kahun

radif aur qafiye nibha diye gae magar
ghazal bhi la-zawal hai main jaan lun to kuchh kahun

abhi to mere pas tha abhi ye dil kidhar gaya
ye zulf hai ki jal hai main jaan lun to kuchh kahun

hamare sath yar log phir se hath kar gae
ya ab ke teri chaal hai main jaan lun to kuchh kahun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close