wo koi aur na tha chand khushk patte the shajar se tut ke jo fasl-e-gul pe roe the abhi abhi tumhein socha to kuchh na yaad aaya abhi abhi to hum ek dusre se bichhde the tumhaare baad chaman par jab ek nazar dali kali kali mein khizan ke charagh jalte the tamam umr wafa ke gunahgar rahe ye aur baat ki hum aadmi to achchhe the shab-e-khamosh ko tanhai ne zaban de di pahad gunjte the dasht sansanate the wo ek bar mere jin ko tha hayat se pyar jo zindagi se gurezan the roz marte the nae khayal ab aate hain dhal ke aahan mein hamare dil mein kabhi khet lahlahate the ye irtiqa ka chalan hai ki har zamane mein purane log nae aadmi se darte the 'nadim' jo bhi mulaqat thi adhuri thi ki ek chehre ke pichhe hazar chehre the