wo kya hai tera jis mein jalwa nahin hai na dekhe tujhe koi andha nahin hai kahan daman-e-husn aashiq se atka gul-e-dagh-e-ulfat mein kanta nahin hai kiya hai wahan us ne paiman-e-farda yahan hai wo shab jis ko farda nahin hai wo kahte hain main zindagani hun teri ye sach hai to un ka bharosa nahin hai meri zist kyun kar na ho jawedani jo marta hai us par wo marta nahin hai wahi khak udana wahi gardishen hain ye mana ki aashiq bagula nahin hai gulu-gir hai un bhawon ka tasawwur gareban mein apne kantha nahin hai in aankhon ko jab se basarat mili hai siwa tere kuchh main ne dekha nahin hai meri hasraten is qadar bhar gai hain ki ab tere kuche mein rasta nahin hai wo dil kya jo dilbar ki surat na pakde wo majnun nahin hai jo laila nahin hai kamal-e-zuhur-e-tajalli se jaana jo pinhan nahin hai wo paida nahin hai