wo kya likhta jise inkar karte bhi hijab aaya

wo kya likhta jise inkar karte bhi hijab aaya
jawab-e-khat nahin aaya to ye samjho jawab aaya

qarib-e-subh ye kah kar ajal ne aankh jhapka di
are o hijr ke mare tujhe ab tak na khwab aaya

dil is aawaz ke sadqe ye mushkil mein kaha kis ne
na ghabrana na ghabrana main aaya aur shitab aaya

koi qital-surat dekh li marne lage us par
ye maut ek khushnuma parde mein aai ya shabab aaya

purane ahd tute ho gae paiman nae qaem
bana di us ne duniya dusri jo inqalab aaya

guzargah-e-mohabbat ban gai ek mustaqil basti
laga kar aag aaya ghar ko jo khana-kharab aaya

muamma ban gaya raaz-e-mohabbat 'arzu' yunhi
wo mujh se puchhte jhijke mujhe kahte hijab aaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close