wo lakh puchhe agar tujhse KHairiyat meri

wo lakh puchhe agar tujh se khairiyat meri
na kahna us se saba tu ye kaifiyat meri

main ek lamha hun guzre hue zamane ka
tumhein khabar hi nahin kya hai ahmiyat meri

main duba rahta hun fikr-e-sukhan ke dariya mein
koi to dekhe zara aa ke mahwiyat meri

tumhaare pyar ne mashhur kar diya warna
main ek gharib bhala kya hai haisiyat meri

piye hain shukr ada karke sabr ke saghar
hui hai saya-e-sabir mein tarbiyat meri

main apni man ke qadam chum kar nikalta hun
isi liye to chamakti hai shakhsiyat meri

zarur mujh mein chhupa hai 'jamil' wo aa kar
bani hai rashk ke qabil jo shakhsiyat meri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close