wo lamha mere liye kis qadar azab ka tha haqiqaton pe guman jab khayal-o-khwab ka tha tamam-umr hum apni ana mein mast rahe wo nashsha sab se alag tha jo is sharab mein tha kahan gae mere mausam wo aarzuon ke kahan gaya jo zamana mere shabab ka tha mita diye the sabhi harf gham ki barish ne ajib haal meri zist ki kitab ka tha jala na tha mere ghar mein koi diya jab tak kahan ye rang hawaon ke pech-o-tab ka tha hue buland kuchh itne ki hosh hi na raha wo tha zamin ka manzar ki mahtab ka tha udi hai aaj bahut khak us jagah 'khawar' hara-bhara koi pauda jahan gulab ka tha