ras mein duba hua lahraata badan kya kahna karwaten leti hui subh-e-chaman kya kahna nigah-e-naz mein ye pichhle pahar rang-e-khumar nind mein dubi hui chandr-kiran kya kahna bagh-e-jannat pe ghata jaise baras ke khul jae ye suhani teri khushbu-e-badan kya kahna thahri thahri si nigahon mein ye wahshat ki kiran chaunke chaunke se ye aahu-e-khutan kya kahna rup sangit ne dhaara hai badan ka ye rachaw tujh pe lahlut hai be-sakhta-pan kya kahna jaise lahrae koi shoala-kamar ki ye lachak sar-ba-sar aatish-e-sayyal badan kya kahna jis tarah jalwa-e-firdos hawaon se chhine pairahan mein tere rangini-e-tan kya kahna jalwa-o-parde ka ye rang dam-e-nazzara jis tarah adh-khule ghunghat mein dulhan kya kahna dam-e-taqrir khil uthte hain gulistan kya kya yun to ek ghuncha-e-nauras hai dahan kya kahna dil ke aaine mein is tarah utarti hai nigah jaise pani mein lachak jae kiran kya kahna lahlahata hua ye qad ye lahakta joban zulf so mahki hui raaton ka ban kya kahna tu mohabbat ka sitara to jawani ka suhag husn lau deta hai lal-e-yaman kya kahna teri aawaz sawera teri baaten tadka aankhen khul jati hain ejaz-e-sukhan kya kahna zulf-e-shab-gun ki chamak paikar-e-simin ki damak dip-mala hai sar-e-gang-o-jaman kya kahna nilgun shabnami kapdon mein badan ki ye jot jaise chhanti ho sitaron ki kiran kya kahna