wo log bhi kaise log hain jo koi baat fuzul nahin karte ye sare qisse jhute hain hum in ko qubul nahin karte tumhein ilm nahin hai yaqin karo main qarib se jaanta hun un ko kuchh saudagar aise bhi hain jo qarz wasul nahin karte main patthar le kar baitha hun aur is basti ke dana ab kyun kar-e-shisha-gari kar ke mujh ko mashghul nahin karte kisi ran mein sath husain ka den kis nahr se pani le aaen is shahr ke sare nauhagar koi aisi bhul nahin karte mere nam ke harf chamakte hain lekin ye chamak hai shoalon ki main ek aisi sachchai hun jise log qubul nahin karte mujhe bhul ke nadim mat hona ai agli naslon ke bachcho han apne buzurgon ka matam kabhi taza phul nahin karte