tankon se zakhm-e-pahlu lagta hai kankhajura mat chhed mere dil ko baitha hai kankhajura champa-kali us ki kyun kar khayal chhute be-wajh dil se aa kar lipta hai kankhajura wo jumbishe-e-nigah kyun mare na dank har dam tahrir-e-surma goya kala hai kankhajura zeb-e-gulu hai kanthi yaqut ki hai ghundi ai shokh ye gareban tera hai kankhajura rahta hai kya tasawwur din raat mujh ko us ka aankhon mein lal sar ka phirta hai kankhajura tifli mein khel sikhe mujh par jo ab bana kar tinkon se singare ke phenka hai kankhajura khatt-e-siyah darpai hai zulf ke 'nasir' ab bichchhu ka chhinne ghar nikla hai kankhajura