wo maqam-e-dil-o-jaan kya hoga tu jahan aakhiri parda hoga manzilen rasta ban jati hain dhundne walon ne dekha hoga sae mein baithe hue sochte hain kaun is dhup mein chalta hoga teri har baat pe chup rahte hain hum sa patthar bhi koi kya hoga abhi dil par hain jahan ki nazren aaina aur bhi dhundla hoga raaz-e-sar-basta hai mahfil teri jo samajh lega wo tanha hoga is tarah qat-e-talluq na karo is tarah aur bhi charcha hoga baad muddat ke chale diwane kya tere shahr ka naqsha hoga sab ka munh takte hain yun hum jaise koi to baat samajhta hoga phul ye soch ke khil uthte hain koi to dida-e-bina hoga khud se hum dur nikal aae hain tere milne se bhi ab kya hoga hum tera rasta takte honge aur tu samne baitha hoga khud ko yaad aane lage hum 'baqi' phir kisi baat pe jhagda hoga