wo marka jo hai nahin sar ho nahin raha ek be-fasil shahr mein dar ho nahin raha main chahta hun teri mohabbat yatim ho par meri baddua mein asar ho nahin raha us be-zamir husn pe ek aur eatibar ho jaana chahiye tha magar ho nahin raha main chhodne ke dar pe hun ye kar-e-khud-kushi maula tu apne hath se kar ho nahin raha soya nahin main barson talak jis ke khauf se wo khwab ab bhi aankh-badar ho nahin raha baitha hai panw mod ke sahil-fareb zehn dil dubne laga hai safar ho nahin raha