wo masaf-e-zist mein har mod par tanha raha phir bhi honton par na us ke koi bhi shikwa raha jo sada tishna-labon ke waste dariya raha umr bhar wo khud ba-nam-e-dostan pyasa raha aql hairan hai junun bhi dam-ba-khud hai soch kar wo hujum-e-kushtagan mein kis tarah zinda raha phulne phalne ka mauqa to kahan un ko mila nim-jaan paudon pe jab tak aap ka saya raha 'alqama-shibli' hawa kaisi chali gulzar mein aashiyan mein bhi parinda waqt ka sahma raha