wo masarrat ke saeban mein the aur hum dhup ke makan mein the ab kahin bhi aman nahin milti ab se pahle hi hum aman mein the pyas wo thi ki hont sukh gae khushk kante meri zaban mein the ai mere dil kahan gae wo log jo abhi apne darmiyan mein the phul jhadte the baat karte mein wo pari-chehra is jahan mein the main tumhein dhundne kahan jata tum meri jaan meri jaan mein the zindagi aish se guzarti thi aap jab tak mere guman mein the