lal-o-gauhar na zar ki baat karo us but-e-sim-bar ki baat karo kyon mere sar ka zikr chhed diya apne diwar-o-dar ki baat karo zulmat-e-shab ka daur khatm hua ab sahar hai sahar ki baat karo baat dil hi mein rahne do dil ki ghar ke bahar na ghar ki baat karo kar chuke zikr apne husn ka ab mere husn-e-nazar ki baat karo shaikh ko zikr-e-hur karne do tum bashar ho bashar ki baat karo naseho kah chuke tum apni baat ab mere chaaragar ki baat karo