wo mashq-e-khu-e-taghaful phir ek bar rahe bahut dinon mere matam mein sogwar rahe khuda ki mar jo ab dil pe ikhtiyar rahe bahut qarar ke parde mein be-qarar rahe kisi ne wada-e-sabr-azma kiya to hai khuda kare ki mujhe tab-e-intizar rahe fana ke baad ye majburiyan are tauba koi mazar mein koi sar-e-mazar rahe sukun-e-maut meri lash ko nasib nahin rahe magar koi itna na be-qarar rahe main kab se maut ke is aasre pe jita hun ki zindagi meri marne ki yaadgar rahe jo dil bacha na sake jaan kya bacha lenge na ikhtiyar raha hai na ikhtiyar rahe main gham-nasib wo majbur-e-shauq hun 'fani' jo na-murad jiye aur ummid-war rahe