mere pahlu mein hamesha rahi surat achchhi main bhi achchha meri qismat bhi nihayat achchhi aap ki shakl bhali aap ki surat achchhi aap ke taur bure aap se nafrat achchhi hashr ke din hamein sujhi ye shararat achchhi le chale khuld mein hum dekh ke surat achchhi tujh se kahta tha koi ya teri taswir se aaj aankhen achchhi teri aankhon ki murawwat achchhi hum ne sau bar shab-e-wasl mila kar dekha ai falak chand se wo chand se surat achchhi na bane kaam to kis kaam ki nazuk shaklen nazuk achchhe na hasinon ki nazakat achchhi us se koi nahin achchha jo tujhe pyar kare main bhi achchha tere sadqe meri qismat achchhi teri madfan se jo utthe wo bari ai waiz un ke thokar se jo utthe wo qayamat achchhi jaur tere bahut achchhe sitam-e-gardun se aur un se teri aankhon ki nadamat achchhi munh mein jab baat ruki chum liya pyar se munh dam-e-taqrir kisi shokh ki luknat achchhi dekhte hi kisi kafir ko bigad jati hai main jo chahun bhi to rahti nahin niyyat achchhi husn-e-surat ki tarah husn-e-sukhan hai kam-yab ek hoti hai hazaron mein tabiat achchhi tujh se jalta hai jo wo aur jalate hain use mere haq mein mere dushman ki adawat achchhi aate jate nazar aati hai jhalak chilman se parde parde mein nikal aai ye surat achchhi khugar-e-gham ke liye kuchh bhi nahin aish ka khwab aisi rahat se hamesha ki musibat achchhi de ke wo bosa-e-lab shauq se len dil mera uzr kya hai jo mile mal ki qimat achchhi sun ke ashaar mere sab yahi kahte hain 'riyaz' is ki qismat hai buri aur tabiat achchhi