wo mauj-e-hawa jo abhi bahne ki nahin hai hum jaante hain aap se kahne ki nahin hai yun khush na ho ai shahr-e-nigaran ke dar o baam ye wadi-e-saffak bhi rahne ki nahin hai ai kash koi koh-e-nida hi se pukare diwar-e-sukut aap hi dhahne ki nahin hai kyun aks-e-gurezan se chamak bujh gai dil ki ye raat to mahtab ke gahne ki nahin hai raqqasa-e-sahra-e-junun bhi hai yahi mauj yak chashma-e-khun-nab se bahne ki nahin hai ek tarfa tamasha hai mujhe shokhi-e-guftar aashuftagi-e-'mir' bhi sahne ki nahin hai