mujh mein tanhai meri aur main tanhai mein ajnabi ho gae sab dasht-e-shanasai mein apne andar hi raunat ki faza hai shayad log utarte hi nahin ruh ki gahrai mein khul gaya ab ki hai aadab-e-mohabbat badi chiz hum jo maruf hue jalwa-e-ruswai mein ye to tai hai ki mujhe tujh se juda hona hai misl aansu hun teri chashm-e-tamannai mein aap to hashr uthane ke liye kahte the aankh tak uth na saki aalam-e-ruswai mein umr kati hai isi ek talab mein 'afaq' ek nazar dekh le mujh ko koi tanhai mein