wo mere sath chala sar se dhup dhalne tak hawa bhi dost rahi bas charagh jalne tak kise khabar thi ki suraj ko sham das legi hamare barf se dil mein lahu pighalne tak jala jab apna hi ghar apne samne to khula hamari koshishen sari hain hath malne tak bata mujhe mere hamdam tu sochta kya hai main ba-wafa hun faqat rukh tera badalne tak jahan-e-waqt ki rau mein the sang ki surat qadam qadam pe lagin thokaren sambhalne tak sada-e-tirgi 'sattar' sun raha hun main mera charagh hai raushan lahu ke jalne tak