kuchh gardish-e-zamana kuchh aarzu kare hai baqi jo bach rahe hai wo kaam tu kare hai khun-e-jigar kare hai dil ko lahu kare hai ye daur aadmi ko yun surkh-ru kare hai moti hai ye palak par rukhsar par hai shabnam gir kar zamin pe aansu be-abru kare hai zindan ki dil-shikasta tanhaiyon mein koi diwar-o-dar se jaane kya guftugu kare hai har zarra mai-kada hai ye tishnagi salamat kyun matam-e-shikast-e-jam-o-subu kare hai kuchh mo'tabar nahin hai aswad ho ya ki marmar in pattharon ke aage kya aarzu kare hai kab ka guzar chuka hai diwangi ka aalam phir bhi 'majaz' apna daman rafu kare hai