wo meri chin-e-jabin se gham-e-pinhan samjha raaz-e-maktub ba-be-rabti-e-unwan samjha yak alif besh nahin saiqal-e-aina hanuz chaak karta hun main jab se ki gareban samjha sharh-e-asbab-e-giriftari-e-khatir mat puchh is qadar tang hua dil ki main zindan samjha bad-gumani ne na chaha use sargarm-e-khiram rukh pe har qatra araq dida-e-hairan samjha ijz se apne ye jaana ki wo bad-khu hoga nabz-e-khas se tapish-e-shola-e-sozan samjha safar-e-ishq mein ki zoaf ne rahat-talabi har qadam sae ko main apne shabistan samjha tha gurezan mizha-e-yar se dil ta dam-e-marg daf-e-paikan-e-qaza is qadar aasan samjha dil diya jaan ke kyun us ko wafadar 'asad' ghalati ki ki jo kafir ko musalman samjha hum ne wahshat-kada-e-bazm-e-jahan mein jun shama shoala-e-ishq ko apna sar-o-saman samjha