tumhaare hath se kal hum bhi ro liye sahib jigar ke dagh jo dhone the dho liye sahib ghulam aashiq o chaakar musahib o hamraaz gharaz jo tha hamein hona so ho liye sahib qarar-o-sabr jo karne the kar chuke barbaad hawas-o-hosh jo khone the kho liye sahib hamare wazn-e-mohabbat mein kuchh ho farq to ab phir imtihan ki taraazu mein tauliye sahib kuchh intiha-e-buka ho to aur bhi yak-chand sarishk-e-chashm se moti ko roliye sahib kal us sanam ne kaha dekh kar hamein khamosh ki ab to aap bhi tuk lab ko kholiye sahib ye sun ke main ne 'nazir' us se yun kaha hans kar jo koi bole to albatta boliye sahib