wo meri jaan ke sadaf mein guhar sa rahta hai mein us ko tod na dalun ye dar sa rahta hai wo chehra ek shifa-khana hai meri khatir wo ho to jaise koi chaaragar sa rahta hai main us nigah ke hamrah jab se aaya hun mujhe na jaane kahan ka safar sa rahta hai bada wasia hai us ke jamal ka manzar wo aaine mein to bas mukhtasar sa rahta hai meri zamin ko mayassar hai aasman us ka kahin bhi jaun mere sath ghar sa rahta hai