mizhgan wo jhapakta hai ab tir hai aur main hun sar panw se chhidne ki taswir hai aur main hun kahta hai wo kal tere purze main udaunga ab subh ko qatil ki shamshir hai aur main hun be-jurm-o-khata jis ka khun howe rawa yaro us khubi-e-qismat ka nakhchir hai aur main hun hai qatl ki dhun us ko aur meri nazar haq par tadbir hai aur wo hai taqdir hai aur main hun dil tuta 'nazir' ab to do-chaar baras ro kar is qasr-e-shikasta ki tamir hai aur main hun