wo mohabbat na sahi dard-e-mohabbat hi sahi kuchh to mil jae hamein aap ki nafrat hi sahi dast-e-qudrat ka banaya hua shahkar to hai aadmi aaj ka ek harf-e-malamat hi sahi un ki qismat mein samundar ka sukun likkha hai apni taqdir mein sahraon ki wahshat hi sahi shahr mein tere thake panw musafir ke liye do ghadi baith ke dam lene ki fursat hi sahi aankh jalte hue lamhon se milana hoga dil mein biti hui sadiyon ki halawat hi sahi