dekhiye us ko to har baat gul-e-tar ki tarah baat kije to wahi shakhs hai patthar ki tarah aql hairan hai kin alfaz mein tarif karun husn aur wo bhi chhalakte hue saghar ki tarah barq-e-guftar sahi shoala wo talwar sahi hum magar zarf bhi rakhte hain samundar ki tarah aazmaoge to hum jaan se guzar jaenge kaghzi sher nahin hain kisi afsar ki tarah dil ko bahlate hain afsana-e-azadi se hum ne ek tauq pahan rakkha hai zewar ki tarah raj karte hain wahi log dilon par 'khalid' bakhsh dete hain jo dushman ko sikandar ki tarah