wo mujh par is tarah bhi mehrban ho jahan jaun wo pahle se wahan ho ishaaron mein kaha gunge ne hum se zaban hote hue bhi be-zaban ho ye ruhen bhi badan ke sath jaen agar zer-e-zamin bhi aasman ho zaruri hai ki khud chalte raho tum zaruri ye nahin hai karwan ho ajab school hai ye zindagi ka jahan ustad ka bhi imtihan ho kabhi khud se akele bhi milun main hamesha aaina kyun darmiyan ho use qaidi nahin aazad samjho jo zanjiren pahan kar shadman ho