ye achchha hai ki ye achchha nahin hai jo us se ab koi rishta nahin hai wo hai waisa ki ab waisa nahin hai use ek umr se dekha nahin hai riha ho kar qafas se kya karega parinde ne kabhi socha nahin hai na puchho waqt ki raftar hum se guzarta hai magar dikhta nahin hai mujhe maqtal mein roka hai ye kah kar tumhein ab jaan ka khatra nahin hai sabhi jannat mein jaana chahte hain ye dozakh ke liye achchha nahin hai khushi kyun phir rahi hai munh phulae mera us se koi jhagda nahin hai use patthar ke ho jaane ka dar tha palat ke is liye dekha nahin hai ye ku-e-ishq hai is mein se 'asif' nikalne ka koi rasta nahin hai