wo mujh pe taras khaen ye qismat hi nahin hai main shikwa karun ye meri fitrat hi nahin hai anjaan bane baithe hain wo bazm mein aise jaise ki kisi se unhen nisbat hi nahin hai nikla bhi qafas se to na pahunchunga chaman tak majbur hun parwaz ki taqat hi nahin hai ai kash tera qurb jo ho jae mayassar phir mujh ko kisi shai ki zarurat hi nahin hai 'fayyaz' faqat apne muqaddar se gila hai un se to mujhe koi shikayat hi nahin hai