teri furqat mein mujhe nind kahan aati hai aankhon aankhon mein har ek raat guzar jati hai ab to is taur se zalim teri yaad aati hai ki mujhe hosh se begana bana jati hai main to har waqt tujhe yaad kiya karta hun tujh ko bhule se kabhi yaad meri aati hai tera har zulm-o-sitam mujh ko gawara hai magar teri ghaflat se meri jaan pe ban aati hai ab ye aalam hai ki bedard zamane ke sath apni haalat pe mujhe khud bhi hansi aati hai khatm hoti hai shab-e-gham ki kahani 'fayyaz' shama bujhti hai bas ab subh hui jati hai