wo mujhe aasra to kya dega chalta dekhega to gira dega qarz to tera wo chuka dega lekin ehsan mein daba dega hausle honge jab buland tere tab samundar bhi rasta dega ek din tere jism ki rangat waqt dhalta hua mita dega hath par hath rakh ke baitha hai khane ko kya tujhe khuda dega lakh gali faqir ko de lo is ke badle bhi wo dua dega khwab kuchh kar guzarne ka tera gahri nindon se bhi jaga dega kya pata tha ki jalte ghar ko mere mera apna saga hawa dega