wo mujh ko kya batana chahta hai jo duniya se chhupana chahta hai mujhe dekho ki main us ko hi chahun jise sara zamana chahta hai qalam karna kahan hai us ka mansha wo mera sar jhukana chahta hai shikayat ka dhuan aankhon se dil tak talluq tut jaana chahta hai taqaza waqt ka kuchh bhi ho ye dil wahi qissa purana chahta hai