wo mujh ko mangta hai zebai chahta hai mere khilaf mujh se paspai chahta hai hogi qubul lekin ye shart lazmi hai maqbuliyat ki khatir gahrai chahta hai sahra ki chhanta hai wo khak khak zarra ek ajnabi sa gham hai ruswai chahta hai makr-o-fareb le kar har shakhs dekhta hai dil sab se bhar gaya hai tanhai chahta hai dil dekhta raha hai us par ka sitara is par dekhne ko binai chahta hai bikhre hue pade hain reze wajud ke hi simte na phir kabhi ye harjai chahta hai is nakhl-e-dostan pe gul hain khile hue jo khushbu-e-gulsitan ki sachchai chahta hai