wo musibat mein bhi lachaar nahin ho sakta hausla ret ki diwar nahin ho sakta main koi jugnu nahin hun jo pakad mein aaun main to jhonka hun giraftar nahin ho sakta jo hai mujrim use suli pe chadha do lekin har musalman to ghaddar nahin ho sakta sone chandi ke taraazu mein na tolo mujh ko main kabhi bikne ko tayyar nahin ho sakta main ne aaine ki tarikh padhi hai yaro jhut ka wo to taraf-dar nahin ho sakta main ne sachchai pe sajde mein kata di gardan mera sajda kabhi bekar nahin ho sakta aise darpok safine ko jala dun 'danish' dar ke maujon se jo us par nahin ho sakta