muntashir ho gae afsos jigar ke TukDe

muntashir ho gae afsos jigar ke tukde
log taqsim hue ho gae ghar ke tukde

hadd-e-parwaz se aage ai parinde na nikal
shauq-e-parwaz na kar de tere par ke tukde

ghar se niklunga to manzil pe rukunga ja kar
mujh ko manzur nahin apne safar ke tukde

kis ne aaine mein ye barq-e-tajalli rakh di
aaina dekhun to hote hain nazar ke tukde

ye mere sher nahin nur ki qindilen hain
main ne kaghaz pe sajae hain qamar ke tukde

main ne barson jo use khun pilaya apna
tum se ho sakte nahin mere hunar ke tukde

nakhuda se kaho uksae na 'danish' mujh ko
zid pe aaunga to kar dunga bhanwar ke tukde


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close