wo na aaega yahan wo nahin aane wala mujh ko tanhai ka ehsas dilane wala kya khabar thi ki taras jaega tabiron ko apni aankhon mein tere khwab sajaane wala apni tadbir ke anjam se na-waqif hai haal taqdir ka auron ko batane wala meri rag rag mein lahu ban ke rawan ho jaise mere sae se bhi daman ko bachane wala kaamyabi se bahar-haal khushi hoti hai hans raha hai mujhe diwana banane wala bazm ki aur hai tanhai ki duniya kuchh aur raat bhar rota raha din mein hansane wala hama-tan gosh bana deta hai mujh ko 'faruq' us ki baaton ka wo andaz lubhane wala