wo khud apna daman badhane lage chalo aaj aansu thikane lage hamara bura waqt jab tal gaya phir ahbab milne-milane lage teri barhami mein bhi jaan-e-wafa nawazish ke andaz aane lage madawa-e-gham kuchh to karna hi tha musibat padi gungunane lage maza de gaya yar daur-e-firaq hamein to ye din bhi suhane lage mohabbat se taufiq-e-izhaar tak pahunchte pahunchte zamane lage ye ghunche bhi 'faruq' kya khub hain khuli aankh aur muskurane lage