wo nahin bich to ye umr-e-rawan kahti hai

wo nahin bich to ye umr-e-rawan kahti hai
kya chalun jab koi mehwar se alaihada kar de

ab jo tuta hun to us aankh ka jadu samjha
wo to chingari bhi patthar se alaihada kar de

kya kahun us se bichhadne ki aziyyat kya hai
jaise gardan hi koi sar se alaihada kar de

ek muddat se gham-e-dahr hai ashkon mein ghula
aa ke ye ret samundar se alaihada kar de

ek mazlum-e-zamana hun main bad-bakht nahin
gham-e-duniya ko muqaddar se alaihada kar de

tang sahra hai jo andar ye talab hai us ki
dar-o-diwar ko ab ghar se alaihada kar de

use dekhun ki main rangon ka wo manzar dekhun
nigah-e-shauq use manzar se alaihada kar de


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close