ye hasraton ki meri KHak se numu kya hai

ye hasraton ki meri khak se numu kya hai
tere baghair ye duniya-e-rang-o-bu kya hai

tu yun bhi sath mere jaan-ba-lab judai mein
wagarna ye jiye jaane ki aarzu kya hai

tumhaari yaad se badh kar karen ibaadat kya
bahe jab aankh se khud hi to phir wuzu kya hai

sanbhal ke yun wo nae ham-safar ke sath chala
kabhi na us ko bataya ki justuju kya hai

main aaj apne masiha se kat ke aaya hun
mera ilaj bata mere chaara-ju kya hai

lahu to wo ki bahe jab to naqsh-e-yar bane
na apna rang jamae to phir lahu kya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close