wo nahin mera magar us se mohabbat hai to hai ye agar rasmon riwajon se baghawat hai to hai sach ko main ne sach kaha jab kah diya to kah diya ab zamane ki nazar mein ye himaqat hai to hai kab kaha main ne ki wo mil jae mujh ko main use ghair na ho jae wo bas itni hasrat hai to hai jal gaya parwana gar to kya khata hai shama ki raat bhar jalna jalana us ki qismat hai to hai dost bin kar dushmanon sa wo satata hai mujhe phir bhi us zalim pe marna apni fitrat hai to hai dur the aur dur hain har dam zamin-o-asman duriyon ke baad bhi donon mein qurbat hai to hai