na puchh martaba-o-shan-e-khak-dan-e-majaz zamin-e-arsh se uncha hai aasman-e-majaz ye khub jaante hain jo hain raaz-dan-e-majaz zaban ahal-e-haqiqat ki hai zaban-e-majaz hudud-e-arsh-o-azal marhalat-e-hashr-o-abad hain sab ye silsila-e-sharh-e-dastan-e-majaz ye raaz ahl-e-khirad se magar nahin makhfi ki khud zaban-e-haqiqat hai tarjuman-e-majaz nigah ahl-e-nazar ki bhi ho gai majbur hazar parda-e-hairat hain darmiyan-e-majaz wajud kya ki adam ka bhi e'tibar nahin kahan rukega khuda jaane karwan-e-majaz rumuz-e-khas yahan tak hue hain fash ki ab haqiqaton pe bhi aksar ko hai guman-e-majaz