wo nala hi nahin jo par-afshan nahin hua wo dagh-e-dil hi kya jo numayan nahin hua kab wahshaton se dast-o-gareban nahin hua kab dil junun ke hath pareshan nahin hua be-kaifiyon ke kaif mein hum aise mast the ehsas-e-lazzat-e-gham-e-dauran nahin hua nok-e-mizha pe qatra-e-ashk aa ke jam gaya afsos wo bhi raunaq-e-daman nahin hua meri junun-nawazi-e-paiham ke shaghl se manus kyun dimagh-e-gulistan nahin hua tahrik-e-iztirab-e-musalsal to dekhiye dam-bhar sukun-e-qalb ka saman nahin hua dil hi nahin wo dil jo haqiqat mein ham-nashin aaina-dar-e-azzat-e-irfan nahin hua afsana-e-niyaz ki tamhid kya kahun zauq-e-wafa bhi zinat-e-unwan nahin hua tabir jis ki zeb-e-nashat-e-dawam ho aisa to koi khwab-e-pareshan nahin hua