wo nata toDte hain aur gila bhi karte hain

wo nata todte hain aur gila bhi karte hain
nahin milenge ye kah kar mila bhi karte hain

tamam umr hi apni rafu-gari mein gai
ye zakhm hain ye yaqin tha sila bhi karte hain

bichhad gae jo kahan un ki aas ho koi
magar jo kah ke ye jaen mila bhi karte hain

hain kaise hum ki jo qurban hain tasalsul se
hain kaise wo ki jo hum se gila bhi karte hain

kaha bhi tha yahi un se khizan abhi tak hai
khizan ruton mein bhala gul khila bhi karte hain

kahin ho jaenge bebas riwayaton ke amin
kabhi pahad jagah se hila bhi karte hain

hai rahguzar hi aisi ye pyar ki 'amir'
basar ho khak mein panw chhila bhi karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close