wo zamane guzar chuke kab ke the jo dariya utar chuke kab ke ab to bas mein nahin raha kuchh bhi khwab aankhon mein bhar chuke kab ke nur andar se hi nikalta hai hum to ye kaam kar chuke kab ke ab hamein aur kya bigadna hai jo na karna tha kar chuke kab ke sath jina tha sath marna tha kya karen hum ki mar gae kab kai