wo nazar mehrban agar hoti zindagi apni mo'tabar hoti nafraton ke tawil sahra mein in ki chahat to ham-safar hoti ai shab-e-gham mere muqaddar ki tere daman mein ek sahar hoti lamha lamha aziyyaten hain jahan yaad hi un ki chaara-gar hoti un se mansub ho gae warna zindagi kis tarah basar hoti hum hi 'aghaz' garm-e-sahra the zulf kya saya-e-shajar hoti