wo sab ke dil mein basa tha habib aisa tha tamam shahr hi mera raqib aisa tha lahu lahu tha ujala sahar ke mathe par ufuq se jhankta suraj salib aisa tha mata-e-dard-o-alam bhi to us ke pas na thi mujhe wo kya ata karta gharib aisa tha bana bana ke main baaten hazar karta magar wo mujh se jit hi jata khatib aisa tha mera khulus wo thukra gaya hiqarat se main hath malta raha bad-nasib aisa tha tamam umr jalata raha wajud mera wo ek barf ka paikar ajib aisa tha